yuun toh saath hai yeh taare
baadal hai baahein pasaare
phir bhi chaand akela hai
saari raat tanaha roye
boondo se daaman bhigoye
haan yeh chaand akela hai...
yeh chaand us kaale aasmaan par
chaand? jhalakata huva
kuchh maayus, kuchh majboor, khoya huva
yeh chaand akela hai...
dinbhar kaha kho jaaye, jaane kaha ho aaye
dhunde kise banke hawa, koyi jaane na
saagar mein din dhal jaaye
aur shaam ke yeh saayein dheere se odhale jahaan
aur aasmaan taaron se julfein sajaayein
soone maathe pe basaayein
woh chaan woh chaand jo akela hai
saari raat tanaha roye, boondo se daaman bhigoye
woh chaand akela hai
woh chaand jo akela hai...
- from SHAAN - LOVE STORY
Sunday, July 19, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Chaand toh akelaa hee
safar kar raha hai
us khuley aasmaan mein,
lekin voh toh
is baat se bhee anjaana hai
ki kitni aankhey
taras rahee hain
uskey deedar ko
aur intezaar kar rahi hain
raat ka
kiyonki shayad koi raat
chaand ko le kar a jayey
true..
par fir chand kyun anjaan hai un ankhon se..
Post a Comment